Lata Mangeshkar Lata Mangeshkar - Mere Taqdeer Ke Maalik

kaha pe leke aai hai kaha majbooriyan meri
zubaan khamosh aankhein keh rahi hai dastaan meri
meri taqdeer ke maalik mera kutch faisla kar de
bura chahe bura kar de bhala chahe bhala kar de
meri taqdeer ke maalik

mujhe itna bata de main kaha jaaun kidhar jaaun
kahi jaane se achha hai tere kadmon mein marr jaaun
sahara de nahi sakta toh phir beaasara kar de
meri taqdeer ke maalik

nahi duniya mein mera dusra koi thikana hain
mujhe toh bas yahi apna muqaddar azamana hain
liya hain dil toh meri jaan bhi tann se juda kar de
meri taqdeer ke maalik

mujhe barbaad karne mein jo hota ho bhala tera
bujha de apne haathon se charaage zindagi mera
nahi koi gila tujhse agar chahe fanaah kar de
meri taqdeer ke maalik