Lata Mangeshkar Lata Mangeshkar - Mera Naam Raamkali

tohre gun gaate gaate, din bita rain aa chali
kab loge prabhu mori khabariya, der bahut ho chali
allahbad mein paida hui
(allahbad mein paida hui, main jabalpur mein pali
ab bambai hain adda mera, yeh badnaam si gali
mera naam haai raam haai raamkali - 2) - 2

kaise aayi kaha aayi yeh jawani mat puchho - 2
sharm aati hai tauba yeh kahani mat puchho
ke haa shalimaar ke bag mein khilake bani phool yeh kali
ab bambai hain adda mera, yeh badnaam si gali
mera naam haai raam haai raamkali - 2

kaha se yeh soz aaya kaha se saaz maine sikhe - 2
arz kiya hai bade bade ustaadon se yeh andaz maine sikhe
ke haa nayi purani dilli ki tadpaker bhi main chali
ab bambai hain adda mera, yeh badnaam si gali
mera naam haai raam haai raamkali - 2

rab khooth na bulaye kadardaan har jagah hain - 2
meharbanon mere meharbaan har jagah hain
to rab khooth na bulaye kadardaan har jagah hain
ke haa lucknow ke rangeen shehar mein shamaa main ban ke jali
ab bambai hain adda mera, yeh badnaam si gali
mera naam haai raam haai raamkali - 2
allahbad mein paida hui, main jabalpur mein pali
ab bambai hain adda mera, yeh badnaam si gali
mera naam haai raam haai raamkali - 2