Lata Mangeshkar Lata Mangeshkar - Maare Gaye Gulfaam

( maare gaye gulfaam
aji haan maare gaye gulfaam ) -2
ulfat bhi raas na aayi
aji haan maare gaye gulfaam

ik sabzapari dekhi
aur dil ko ganva baithe
( mastana-nigaahon par
phir hosh luta baithe ) -2
phir hosh luta baithe
kahe ko main muskuraai

aji haan maare gaye gulfaam
maare gaye gulfaam
aji haan maare gaye gulfaam

aabru ki katari se
nainon ki dodhari se
( wo ho ke rahe zakhmi
ik baad-e-bahaari se ) -2
ik baad-e-bahaari se
ye zulf kyon lehraai

aji haan maare gaye gulfaam
maare gaye gulfaam
aji haan maare gaye gulfaam

is pyaar ki mahafil mein
wo aaye muqaabil mein
( wo teer chale dil par
halchal si hui dil mein ) -2
halchal si hui dil mein
chahat ki saza paai

aji haan maare gaye gulfaam
maare gaye gulfaam
aji haan maare gaye gulfaam
ulfat bhi raas na aai
aji haan maare gaye gulfaam