lata:
kisi se pyaar hai hum ko, magar hum na bataayenge
talat:
tumhaari in jhuki aankhon se hum to jaan jaayenge
lata:
hum aankhen khol denge to
talat:
jhukaana hum ko aata hai
lata:
hato hum rooth jaayenge
talat:
manaana hum ko aata hai
lata:
agar hum phir bhi na maanen
talat:
to palakon par bithaayenge
both:
kisi se pyaar hai hum ko, magar hum na bataayenge
lata:
humaare koun ho tum, jee
talat:
wohi jo dil churaate hai
lata:
sikhaaee kis ne ye chori
talat:
ye do naina sikhaate hai
lata:
jo ye ilzaam ho jhutha
talat:
to hum sach kar dikhaayenge
both:
kisi se pyaar hai hum ko, magar hum na bataayenge