Lata Mangeshkar Lata Mangeshkar - Khushi Ko Qaid Mein

kushi to qaid mein hai ye koi jeena bhi jeena hai
are zaalim zamaane tu ne dil ka chain chheena hai

rota hai mera dil
kisako pukaaruun kya karoon
jeena bhi hai mushqil
kisako pukaaruun kya karoon
kisako pukaaruun kya karoon
kya karoon kya karoon
rota hai mera dil
kisako pukaaruun kya karoon

( taqadeer ne mujhako loot liya
har aas ka sooraj doob gaya
har aas ka sooraj doob gaya ) -2
ye gam ki ghataayen aisi utheen
ummeed pe paani pher diya -2
ab door hui manzil
kisako pukaaruun kya karoon

ye phool kushi ke kaante hain
ham chupake-chupake rote hain
chupake-chupake rote hain
ai maut gavaahi dena tu
ham pyaar pe qurbaan hote hain -2
duniya hai badi qaatil
kisako pukaaruun kya karoon
kisako pukaaruun kya karoon
kya karoon kya karoon
rota hai mera dil
kisako pukaaruun kya karoon

mar jaayen to itana kar dena
do aansu a ke chadha dena -2
is pyaar ki ujadi basti mein
ik yaad ka deep jala dena -2
tum ho na sake haasil
kisako pukaaruun kya karoon
kisako pukaaruun kya karoon
kya karoon kya karoon
rota hai mera dil
kisako pukaaruun kya karoon
rota hai mera dil