Lata Mangeshkar Lata Mangeshkar - Kahaan Ho Tum Zaraa Aawaaz Do

lata:
kahaan ho tum zaraa aawaaz do, hum yaad karate hai
kabhi bharate hai aanhe, aur kabhi fariyaad karate hai
kahaan ho tum zaraa aawaaz do

lata:
judaa bul-bul hai apane phool se, aur ro ke kaheti hai- 2
ari duniyaa kiyaa who zulm, jo saiyaad karate hai
kahaan ho tum zaraa aawaaz do

mukesh:
jaha hai aur ab jis haal mein hai, hum tumhaare hai- 2
tumhi aabaad ho dil mein, tumhi ko yaad karate hai
kahaan ho tum zaraa aawaaz do

lata:
humaari bebasi ye hai ke hum kuchh kahe nahin sakate- 2
wafa badnaam hoti hai, agar fariyaad karate hai
kahaan ho tum zaraa aawaaz do

mukesh:
tere qadamon mein rahene ki tamanna, dil mein rakhate hai- 2
judaa duniyaa ne hum ko kar diya, fariyaad karate hai
kahaan ho tum zaraa aawaaz do