kabhi ai haqeeqat-e-muntazar, nazar aa libaas-e-majaaz mein
ke hazaaron sajade tadap rahe hain meri jabeen-e-niyaaz mein
na bacha-bacha ke tu rakh ise, tera aaeena hai vo aaeena
ke shikasta ho to azeeztar hai nigaah-e-aaiinaasaaz mein
na vo ishq mein raheen garmiyaan, na vo husn mein raheen shokiyaan
na vo gazanavi mein tadap rahi
na vo kham hai zulf-e-aayaaz mein
main jo sar-ba-sajada kabhi huaa, to zameen se aane lagi sada
tera dil to hai sanam aashanaa, tujhe kya milega namaaz mein
kabhi ai haqeeqat-e-muntazar, nazar a libaas-e-majaaz mein
ke hazaaron sajade tadap rahe hain meri jabeen-e-niyaaz mein