he he uun huun
kaali palak teri gori khulane lagi hai thodi-thodi
ek chorani ek chor ke ghar karane chali hai chori
kaali palak piya mori khulane lagi hai thodi-thodi
ek chorani ek chor ke ghar karane chali hai chori ho chori
kaali palak piya
aayegi baandh ke paayal tu honth dabaaye badan ko churaaye
naazuk qamar se lagaaye ada ki kataari zaalimaan
pheregi dhire-dhire tu mere gale par ye baanhon ke kanzar
jaayegi dil mera lekar samajh ke anaadi baalama
roz raat ko yuun hi baandhegi laton ki dori ho dori
kaali palak teri
na to main dor se baandhuun na jaal bichhaayuun na tir chalaayuun
naazuk qamar se lagaayuun chhuri na kataari saajana
o sajana main to tera dil luungi tujhase chhupa ke nazar ko bacha ke
are yuun hi zara muskara ke kahuungi anaadi saajana ho saajana
roz raat ko tere ghar hogi teri chori ho chori
kaali palak teri
achchhi huyi meri chori ek dil khoya ek dil paaya
aise koyi paas aaya ki aa gaya lutane ka maza
hans ke lipat gaye donon bas gaye donon huwa jab vaada pyaar ka
roz raat ko milenge chanda aur chakori o chakori
kaali palak teri