Lata Mangeshkar Lata Mangeshkar - Jaaneman Tum Kamaal Karti Ho

K : Aaj Ham Ishq Ka Izahaar Kare To Kya Ho?
L : Jaan Pehchaan Se Inkaar Kare To Kya Ho?
K : Bhari Mehfil Mein Tumhe Pyar Kare To Kyaa Ho?
L : Koshishe Aap Ki Betaar Kare To Kya Ho?

K : Kehte Darati Ho Dil Mein Maarti Ho
Jaaneman Tum Kamaal Karti Ho
Kehte Darati Ho Dil Mein Maratii Ho
Jaaneman Tum Kamaal Karti Ho

K : Aankhon Aankhon Mein Muskurati Ho
Baato Baato Mein Dil Lubhati Ho
Narm Saanso Ki Garm Leharo Se
Dil Ke Taaro Ko Gudgudati Ho
Arre In Sab Baato Ka Matlab Puchhe To
Rang Chehare Ka Laal Karti Ho
Jaaneman Tum Kamaal Karti Ho

L : Chup Bhi Rahiye Ye Kya Qayamat Hai
Aap Ki Bhi Ajib Aadat Hai
Itna Hungama Kisliye Aakhir
Pyaar Hai Yaa Koi Musibat Hai
Jab Bhi Miltey Ho Jaane Tum Kya-Kya
Ulte-Sidhe Savaal Karte Ho
Jaaneman Tum Kamaal Karti Ho

K : Mastiyaan Si Fazaan Pe Chhaayi Hain
Vaadiyaan Rang Mein Nahaai Hain
L : Narm-Sabz-Ped Shokh Phulon Ne
Makhmali Chhaadaren Bichhaayii Hain
K : Aah, Chhodo Sharamaanaa Aise Mausam Me
Tabiyat Kyon Nihaal Karti Ho
Ho! Jaaneman Tum Kamaal Karti Ho
L : Jab Bhi Milte Ho Jaane Tum Kya-Kya
Ulte-Sidhe Savaal Karate Ho
Jaaneman Tum Kamaal Karte Ho