Lata Mangeshkar Lata Mangeshkar - Din Sara Guzara Tere

Lata: din saara guzaraa tore anganaa
ab jaane de mujhe more sajanaa
mere yaar shabbaa khair (2)
ho mere yaar shabbaa khair
mere yaar shabbaa khair

Rafi: aasaan hai jaana mehfil se
ho kaise jaaoge nikal kar dil se
mere yaar shabbaa khair (2)
hoye mere yaar shabbaa khair
mere yaar shabbaa khair

o dilbar dil to kahe teri raahon ko rok loon main (2)
aayi birhaa ki raat ab batlaade kya karoon main (2)
yaad aayegi yeh baatein tumhaari
tadpegi mohabbat hamaari
mere yaar shabbaa khair (2)
hoye mere yaar shabbaa khair
mere yaar shabbaa khair

Lata: din saara guzaraa tore anganaa
ab jaane de mujhe more sajanaa
mere yaar shabbaa khair (2)
ho mere yaar shabbaa khair
mere yaar shabbaa khair

main dharti tu aasmaan meri hasti pe chha gaya tu (2)
seene ke surkh baag mein dil ban ke aa gaya tu (2)
ab rehne de nigaahon mein masti
ho basaa le mere khwaabo ki basti
mere yaar shabbaa khair (2)
ho mere yaar shabbaa khair
mere yaar shabbaa khair

Rafi: hoye mere yaar shabbaa khair
mere yaar shabbaa khair

Lata: mere yaar shabbaa khair (2)