Lata Mangeshkar Lata Mangeshkar - Dam Bhar Jo Udhar

--FEMALE--
Dam bhar jo udhar munh phere
(Dam bhar jo udhar munh phere, o chanda
Main unse pyaar kar loongi, baatein hazaar kar loongi) - 2
Dil karta hai pyaar ke sajde - 2
Aur main bhi unke saath
Chaand ko chanda roz hi dekhe
Meri pehli raat, ho meri pehli raat
Baadal mein ab chhup jaa re o chanda
Main unse pyaar kar loongi, baatein hazaar kar loongi

--MALE--
Dam bhar jo idhar munh phere
Dam bhar jo idhar munh phere, o chanda
Main unse pyaar kar loonga, nazrein to chaar kar loonga
Main chor hoon, kaam hai chori - 2
Duniya mein hoon badnaam
Dil ko churaata aaya hoon main
Yehi mera kaam, ho yehi mera kaam
Aana tu gawaahi dene, o chanda
Main unse pyaar kar loonga, nazrein to chaar kar loonga

--FEMALE--
Dil ko churaake kho mat jaana - 2
Raah na jaana bhool
In kadmon se kuchal na dena
Mere dil ka phool, ho mere dil ka phool
Yeh baat unhe samjha de, o chanda
Main unse pyaar kar loongi, baatein hazaar kar loongi

--MALE--
Dam bhar jo idhar munh phere, o chanda
Main unse pyaar kar loonga, nazrein to chaar kar loonga

--FEMALE--
Dam bhar jo udhar munh phere