Lata:
baar-baar tohe kyaa samajhaaye paayal ki jhankaar?
Rafi:
kyaa?
Lata:
tere bin saajan laage na jiya hamaar
Rafi:
chhup-chhup ke karata hai ishaare chanda sau-sau baar
Lata:
kyaa?
Rafi:
aa tohe sajani le chaloon nadiya ke paar
Lata:
tere bin saajan...
Lata:
chalate-chalate ruk gaye kyon sajan mere?
Rafi:
milate-milate jhuk gaye kyon nayan tere?
Lata:
jhuke-jhuke naina karate hain tum se ye iqaraar
Rafi:
kyaa?
Lata:
tere bin saajan laage na jiyaa hamaar
Rafi:
aa tohe sajani le chaloon nadiya ke paar
Rafi:
dariya uupar chaandani aaee sanbhal-sanbhal
Lata:
in laharon par man mera gaya machal-machal
Rafi:
ek baat kahata hoon tum se na karana inkaar
Lata:
kyaa?
Rafi:
aa tohe sajanii le chaluu.N nadiyaa ke paar
Lata:
tere bin saajan laage na jiyaa hamaar
Lata:
na biite ye raat ham milate hii rahe.n
Rafi:
bas taaro.n kii chhaa.Nv me.n chalate hii rahe.n
Lata:naam tera le-le kar gaaye dhadakan ka har taar
Rafi:
kyaa?
Lata:
o, tere bin saajan laage na jiyaa hamaar
Both:
baar-baar tohe kyaa samajhaaye paayal ki jhankaar?
Lata:
tere bin saajan laage na jiyaa hamaar
Rafi:
aa tohe sajanii le chaluu.N nadiyaa ke paar