Lata Mangeshkar Lata Mangeshkar - Arre Jaane Kaise Kab

Kk: Arre Jaane Kaise Kab Kahaan Iqraar Ho Gaya
Hum Sochte Hi Reh Gaye Aur Pyaar Ho Gaya

Lm: Ho Jaane Kaise Kab Kahaan Iqraar Ho Gaya
Hum Sochte Hi Reh Gaye Aur Pyaar Ho Gaya

(Gulshan Bani Galiyaan Sabhi
Phool Ban Gayi Kaliyaan Sabhi) (2)

Kk: Lagta Hai Mera Sehra Taiyaar Ho Gaya
Hum Sochte Hi Reh Gaye Aur Pyaar Ho Gaya

(Tumne Hume Bebas Kiya
Dil Ne Hume Dhokha Diya) (2)

Lm: Uff Tauba Jeena Kitna Dushvaar Ho Gaya
Hum Sochte Hi Reh Gaye Aur Pyaar Ho Gaya


Lm: Hum Chup Rahe Kuch Na Kahaa
Kk: Kehne Ko Kya Baaki Raha

Lm: Ho Hum Chup Rahe Kuch Na Kahaa
Kk: Kehne Ko Kya Baaki Raha

Both: Bas Aankhon Hi Aankhon Mein Ishaar Ho Gaya
Hum Sochte Hi Reh Gaye Aur Pyaar Ho Gaya

(Him Humming In Background)

Lm: Jaane Kaise Kab Kahaan Iqraar Ho Gaya
Hum Sochte Hi Reh Gaye Aur Pyaar Ho Gaya

(Both Humming)